Romantic Love Poems | Hindi Shayari | Inspirational Poems | Sad Love Poems

June 15, 2012

Meri Pyaaree Maa

Filed under: Maan ka pyaar — Tags: — meerac @ 1:01 pm

I am dedicating this poem to my ‘Sweet & Kind Mother’.

Mujhe is sansaar mein laanewalee hai meri Maa.
Mujhpar apnee aseem mamtaa lutaanewalee hai meri Maa.
Maa kitne kasht jhelkar tune mujhe janm diyaa.
Kitne pyaar dulaar se tune mera paalan kiyaa.
Maa tune hameshaa apnaa pyaar bharaa haath mere sir par rakhaa.
Tune apnaa doodh pilaakar mujhe seenchaa,Jis karj ko main nahi sakoongee chukaa.
Bahut sundar thee meri Maa,goraa rang badi badi kaali aankhein ,lambe lambe kesh.
Meri Maa bahut saral thee aur saadaa thaa uskaa vesh.
Meri Maa mere liye bhagwaan hai kyonki usne mujhe apnee kokh se janam diyaa.
Maa hameshaa mere saath parchhaaee bankar chalee.
Aur sapno ko pooraa karne mein hameshaa meraa margdarshan kiyaa.
Meri Maa ne Naaree ki pratyek bhoomikaa ko achhee tarah nibhaayaa.
meri Maa to mamtaa ka saagar thi.
Apne jal se sabki pyaas bujhaanewali gaagar thee.
Meri Maa ek achhee patnee,bahoo,bahan,betee thee.
Meri Maa kaa swaroop prakaashpoorn thaa.
Meri Maa ka astitva hi apne aap mein sampoorna tha.
Meri Maa ne Kanyaadaan kar mera vivaah karayaa.
Aur mujhe vidaa karke ek maa ka pharz nibhaya.
Vivaah pashchaat main jab bhi maayke jaati.
Maa ke pyaar dulaar ki saugaat lekar aatee.
He Maa main tujhe shat shat naman karti hoon.
He Maa sadaa khushhaal jeevan kaa aasheervad de mujhe.
Main barambar karti hoon yahi prarthanaa ki,
Har janam mein Maa ke roop mein tu hi mujhe mile.

May 25, 2012

Pitaa Kaa Karj

Filed under: Fathers Day — Tags: — meerac @ 3:49 am

Pratyek pitaa ko apnee santaano se sneh hotaa hai.
Apnee santaano se vaatsalya aur prem kaa moh hotaa hai.
Pitaa ki unglee thaamkar bachhaa chalnaa seekhtaa hai.
Kathinaaiyon se thokar khaakar bhi phir se uthnaa seekhtaa hai.
Pitaa apne bachhon ko detaa hai anushaasan ki seekh.
Taki unhe kabhi na maangnee pade ehsaano ki bheekh.
Pitaa hote hain upar se naariyal ki tarah kathor.
Par andar hi andar unkaa man prem se bharaa hotaa hai.
Maa yadi hame janm deti hai to pitaa is duniyaa se parichit karaate hain.
Pitaa se badhkar guru is duniyaa mein kahaan hota hai.
Pitaa jis tarah bachhon ko daantte phatkaarte hain.
Usee tarah we apni santaano par pyaar bhi lutaate hain.
Dashrath,Vasudev,Shahaaji jaise veer pitaa huye hain itihaas mein.
Jinhone apne bachhon ko uttam sanskaar diye.
Aur kar diyaa bhaarat kaa naam roshan poore sansaar mein.
Jab ek pitaa apni beti ka kanyaadan kartaa hai.
Wo var ko apni laadli aur uske armaan detaa hai.
Maang mein sindoor padte hi beti ho jaati hai paraaee.
Man hi man pitaa ko lagtaa hai ki ye reet kyon hai banaaee.
Jab bitiyaa doli mein baithkar piyaa ke ghar jaane ko hoti hai taiyaar.
Tab pitaa ka dil andar hi andar kar uthtaa hai cheetkaar.
Apne kaleje ke tukde ko ek pitaa badi mushkil se kar paataa hai vidaa.
Phir apni bitiyaa ke aane ka intjaar kartaa hai sadaa.
Ek pitaa poore kartaa hai apne sabhi pharj.
Sau janmon tak bhi mushkil hai utaarnaa pitaa ka karj.

May 6, 2012

Mamtaa Ka Sparsh

Filed under: Maan ka pyaar — Tags: — meerac @ 8:41 am

Meree Gudiyaa mere garbh mein aayee jabse,
uska ek-ek sparsh maine mahsoos kiyaa hai.
Wo badhne lagee meri kokh mein aise,
Jaise motee seepee mein badhtaa hai,
Jaise hi wo meri kokh mein karvat letee hai,
Mera man ek anokhe vatsalyaa se umdataa hai.
Aise nau maheene dheere-dheere poore hone lage;
Jab maine use janam diyaa to ek aseem garv ko mahsoos kiyaa hai.
Use apne saamne dekhkar aisaa lagaa,
Jaise hi wo mujhse kah rahi ho.
Maan yumne mujhe ek jeevan diyaa hai,
Jiase main satkarmon mein doongee lagaa.
Uski chhotee-chhotee ungliyaan aaj bhi mujhe gudgudaatee hain.
Uski pyaree si muskaan aaj bhi khilkhilaatee hai.
Chanchaltaa usmein aisee lagee ki,
Pavan ko bhi usse eershyaa ho jaaye.
Sundartaa usmein aisee ki,
Kalee bhi uske chehre pe nisaar ho jaaye.
Din-pratidin wo badhtee hai,
Aur badhtaa hai mere aur uske beech kaa aseem prem.
Apne vatsalyaa se maine use seenchaa hai,
Mere hriday mein uske prem ki marichikaa hai.
Meri bitiyaa tum mere liye bahut anmol ho,
Mere shareer kaa hissaa ho tum aur mere praano ki parchhaaee ho.
Duniyaa mein tum khoob phalo phoolo,
Din dugunaa raat chaugunaa tarakkee karo.
Phir ek din sundar saa raajkumar,
Tumhein apne saath ek nayee duniyaa mein le jaayega.
Jahaan wo tumhaare saath naye naye sapne sajaayegaa.
Jab dekhaa maine tumhe dulhan ke vesh mein,
Lagaa jaise ki tumhaaraa tan dhal gayaa hai naye parivesh mein.
Hai meri duaa ki tumhaaraa jeevan ho khushhaal.
Mile tumhe pyaaraa aur sundar saa laal.

April 30, 2012

Pyaar Ka Nashaa

Filed under: Romantic Poem, Uncategorized — Tags: — meerac @ 11:37 am

Jaise hi milee piyaa se meri najar,

unka anmol prem mere dil mein basaa.

Ek ajab si kashish hai unse najdikiyon mein,

aur chhaa gayaa mere man par unke pyaar ka kahkashaa.

Jaise hi unhone meri taraf haath badhaayaa,

lagaa ki saagar nadee ki lahron mein ho basaa.

Jaise hi unhone mere tan ko chhuaa,

man par chhaa gayaa unke pyaar ka nashaa.

Jaise hi huaa aalingan mere piyaa se,

Madhosh ho gayee pavan aur rimjhim saawan barsaa.

Mera aur unkaa adbhut prem hameshaa banaa rahe,

hamaare beech ka ye pavitr bandhan hamesha phaltaa rahe.

Hai meri rab se yahi duaa ki hameshaa khushiyon se bharaa rahe hamaaraa sansaar,

jo hain pyaar ke moti se banaa.

Main to rangee hoon aapke pyaar ke rang mein,

aur hameshaa yun hi aapke saath rahoongee.

Kyonki mere man par chhaayaa hai ,

aapke pyaar ka anokhaa nashaa.

(3 Packs) iPhone 4 Anti-Glare, Anti-Scratch, Anti-Fingerprint – Matte Finishing Screen Protector

January 13, 2011

Maiyaa Ji Ke Aanchal Mein

Filed under: Bhojpuri Durga Bhajan — Tags: — meerac @ 12:20 pm

Kehraa se aaven ho Sheetlaa maiyaa,

Kehraa se kaali maiyaa ho.

Are ho kehraa se aave durga maiyaa

ta sher par savaariyaa lihale ho.

Poorba se aaveni sheetla maiyaa

pachhuan se kaali maiyaa ho.

Are ho uttaraa se aaven durga maiyaa

ta sher par savaariyaa lihale ho.

kavani pujaniyaa sheetlaa maiyaa,

kavani kaali maiyaa ho.

Are ho kavani pujani durga maiyaa,

ta sher par savaariyaa lihale ho.

Piyari karahiya sheetla maiyaa,

gheeauva kaali maiyaa ho.

Are ho nariyar chunariyaa durgaa maiyaa,

ta sher par savaariyaa lihale ho.

Kahanva je baithe sheetla maiyaa,

Kahanva ae kaali maiyaa ho.

are kahanva je baithe durga maiyaa

ta sher par savaariyaa lihale ho.

nimiya ke chhahiyan sheetla maiyaa,

Angane kaali maiyaa ho.

Are ho mandire mein baithen durga maiyaa,

ta sher par savaariya lihale ho.

Kavane maase jhoomeli sheetla maiyaa,

kavane ho kaali maiyaa ho.

Are ho kavane maase jhoome durgaa maiyaa,

ta sher par savaariyaa lihale ho.

Chaite maase jhoomeli sheetla maiyaa,

barah maase kaali maiyaa ho.

are ho kwaare maase jhoome durga maiyaa,

ta sher par savaariyaa lihale ho.

November 28, 2009

Suhagrat

Filed under: Romantic Poem — Tags: — meerac @ 9:09 am

Suhagrat ki madhur belaa,meri dhadkan mein bas gayee hai.

Us raat mujh per chhaayaa tha, ek ajab saa nashaa.

Kyonki us rat unka jalwaa,ban gayaa tha kahkashaa.

Suhagrat ke baad piya se, meri preet badh gayee hai.

Jeevan bhar us rat ki khooshboo, mere tan badan mein chhaaee rahegi.

Kyonki us rat ki haseen yaadein,mere jeevan ki parchhaee rahengee.

Us rat piya ke roop mein mujhe,ek sachha dost mila.

Jisse khulkar kar sakoon main, har ek shikwaa gilaa.

Salone piya ka pyaar paakar,main sanwar gayee hoon.

Sirf unke jism mein hi nahi,unki rooh mein bhi utar gayee hoon.

August 4, 2009

Salone Piyaa

Filed under: Romantic Poem — Tags: — meerac @ 4:08 am

Mere piyaa sanwale salone hain,
       We bal buddhi aur guno ki khaan.
Aur mere is shareer ke kaleje hain.
       Salone piyaa mere dil ke raja hain.
Priy kyon na hon?
       Kyonki Shriram,Shrikrishna bhi to sanwale the.
Piya ko dekhkar main kho ati hoon is kadar,
       Ki unke manmohak roop se hattee hi nahi meri najar.
Suhagrat ko jab unse meri bhent huee to,
       Main unhe dekhte hi anandvibhor huee.
Unkee meethee meethee baton se mujhe maadak ehsaas hone lagaa,
       Aur main unke sparsh se hi madhosh ho gayee.
Kaise kahoon ki wo pal bhi jaise thahar gaya tha,
       Us raat pyar ka rang bhi gahraa tha.
Us raat main tan man se unke prati samarpit thi,
       Kyonki main hoon unki ardhaanginee.
Saat janmon ka unka mujhse rishta hai,
       Isliye main hoon unki jeevansanginee.
Main ishwar se hamesha prarthna karti hoon ki,
       We hamesha jindagee ke har mod par kamyab hon.
Wo hamesha khush rahein aur safltaa unke kadam choome.
       Kyonki unki haar mein meri haar,
Unki jeet mein meri jeet hai.
       Main unhe apni aakhon ke saamne,
Jindagee bhar sahi salaamat chaahtee hoon.
       Bhale hi uske liye,
Mujhe apni jindagee kurbaan karni pade.
       Maine ki hain kaee galtiyaan,
Jise unhone hanskar ansunaa kiya hai.
       Mujhe apnaa jeevansathi mankar mere,
Berang jeevan ko rangeen banaa diya hai.
       Ishwar se main yahi prarthnaa karti hoon ki,
Hamaaraa paawan rishta janmon janmon tak amar rahe.
       Prasann ho vidhata mujhpar itnaa ki,
Meri maang ka sindoor hameshaa ujaagar rahe.

August 3, 2009

Hindi Shayrees

Filed under: Hindi Shayari — Tags: , , — meerac @ 4:40 pm

Hey ishwar, aap to hain karunanidhan.
Jo jag mein rakhte hain sabkaa dhyaan.
Mere is hriday mein aap sadaa waas kijiye,
Banke mere shareer ke praan.

Aap meri jindagi mein khushiyon ki bahaar lekar aaye hain.
Jiske bina jhulas rahi thi meri rooh wo fuhaar lekar aaye hain.
Naseeb hota hai jo kisee kisee khushnaseeb ko,
Meri jindagee mein wo mahktaa aseem pyaar lekar aaye hain.

Lataaon ki ot se prakat huye aise Raam.
Prakate ho chandra jaise meghon ko hataake.
Naino ki dagar Siyaa rakhe Ram,
Kare Prarhnaa palak giraake.
Lakshminarayan awaak aise dekh rahe,
Mile the kahaan ab mile kahaan aake.

Jaise nadee parvat se nikaltee hai aur parvat mein hi samaa jati hai.
Jaise muskuraahat hothon se nikaltee hai aur dil mein samaa jati hai.
Usi tarah aapka pyaar mere rom-rom mein samaayaa huaa hai.
Mujhe rah rahkar aapki bahut yaad aati hai.

Sangeet wah swar hai jo hriday se nikaltaa hai.
Pyaar se chhoone par to patthar bhi pighaltaa hai.
Ai khudaa mujhse kisi ka dil na toote,
Kyonki toote dil ka jakham sirf pyaar ke marham se bhartaa hai.

Roj ham unse apne pyaar ka ikraar karne jaate hain.
Lekin unki maasoomiyat ko dekhkar ham laut aate hain.
Unse beintahaan pyaar karte hain ham,
Dil ki yahi baat ham unse  chhipaate hain.

Dosti ki shuruaat hoti hai par ant nahi hota.
Jiske dil mein pyaar na ho wo insaan nahi hota.
Agar is jahaan mein sabko sachchaa pyar naseeb hota,
To kiseeka dil kisike pyaar se bejaar nahi hotaa.

Jaise bhanvaraa keval kalee kaa raspaan kartaa hai.
Jaise ambar keval dhartee ka aalingan kartaa hai.
Waise hi ai mere jaan se pyaare hamsafar,
Mera dil aapse beintahaan pyar kartaa hai.
Jab chhanmatr ke liye bhi aap meri aankhon se ojhal ho jaate ho to
Mera man aapki ek jhalak paane ke liye tarastaa hai.
Aapke sparshmatr se hi mere man mein ho jati hai ajab si halchal,
Tab aapke pyar mein pagal mera ye dil mujhse lakh sambhale nahi sambhaltaa hai.

March 6, 2009

Piyaa Kaa Intejaar

Filed under: Romantic Poem — Tags: — meerac @ 7:46 am
Jab yauvan ladki ko chaaron taraf se gher letaa hai tab,
 
Ajeeb see bechainee uske dil mein bhar jaatee hai.
 
Uski aankhein besabree se kisee kaa intejaar kartee hain,
 
Uske chehre ki hayaa bhi uske hriday ki vyathaa nahi chhupaa pati hai.
 
Use kisee shingaar ki jaroorat nahi hoti,
 
Piyaa ko dekhte hi ajab see laalee uske mukhmandal par chhaa jati hai.
 
Dil se wo milan ka intejaar karti hai,
 
Lekin virah ke baare mein sochkar hi wo vyathit ho jati hai.
 

February 9, 2009

Muskuraahat

Filed under: Romantic Poem — Tags: — meerac @ 11:16 am

Hothon pe muskaan khil jati hai meri,

Uski ek sharaarat se.

Aankhein chamak jati hain meri,

Uski ek aahat se.

Uski ek jhalak pate hi,

Mera ang ang sajeev ho jaata hai.

Mera udaas man bhi,

Uske sparshmatr se praffukit ho jata hai.

Pataa nahi usme kyaa,

Visheshtaa chhipee hai.

wo mere is andhkaarmay jeevan mein prajalit huee,

ek jagmagaatee roshnee hai.

Uski aankhein hameshaa bolti hain,

Uski baatein mujhe toltee hain.

Uski mand mand muskuraahat,

Uske dil me chhipe raaj kholtee hain.

Khush hai wo mere hothon ki muskurahat se.

Main bhi uski ek muskurahat ke liye taras jati hoon.

Ishwar kare ki hamara ye rishta itna majboot ho jaaye ki,

Ham dono har khushee ka swaagat muskuraahat ke saath karein.

Older Posts »

Create a free website or blog at WordPress.com.